My Community
News:
 
*
Welcome, Guest. Please login or register. September 08, 2010, 09:33:31 PM


Login with username, password and session length


Pages: [1] 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11   Go Down
    Options  
Author Topic: Guftaar e dilnashee  (Read 4458 times)
Options sonia says:     Next/Pre

1)Mola Ali a.s nay fermaya : aey logo mein tumharay barey may do cheezo say bht derta hoon ek khuwahisho ki pervi dosra toolani aarzoo khuwahisho ki pervi haq say rok deiti hay aur taweel aarzooen akhrat ko faramosh kera deiti hein.

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

2)Mola Ali a.s ney fermaya: kiya mein tum ko kamil fiqe ki khaber doo 9 tau souno ) haqeeqi aur kamil fiqe wahi hay jo logo ko khuda ki maasiyut ki ijazt na dey aur na inko khuda ki rehmat say maayouse karey aur makr e khuda ( na maraie o makhfi azaab e ilahi) sey bey khoaf na karey Quran say bey raghbati ki waja say Quran ko na chore dey jis ibadat k ander feham o idraak na ho is may koi kheir nahi hay aur jis ilm may ghor o fiker na ho is may ( bhe ) koi kheir nahi hay ayaat e Quran ki tilawat may bhe koi kheir nahi hay agr is may tadabor o tafakor na ho .

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

3)Mola Ali a.s nay fermaya: (khaberdar) apni mashghooliyut ziada ter apny ehl o ayaal  may mabzool na rekho kyu k tery ehl o ayaal agr khuda k dost hein tau khuda apny dosto ko zaaya o berbaad nahi kerta aur agr woh log khuda k dushman hein tau tumharai mashghooliyut  aur tumhari tawajjah dushmanan e khuda ki taraf kyu ho ?

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

4)Mola Ali a.s ney fermaya: agr tum nay apny deen ko apni duniya ka taabea bana diya tau deen o duniya dono kho bethey aur akhrat may ghaate may raho gay aur agr apni duniya ko deen ka taabea bana liya tau deen o duniya dono hasil ker liya aur akhrat may bhe kaamyaab logo may raho gay .

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

5)IMAM ALI a.s nay fermaya : yakeenun perheizgaar logo nay jald guzr jane wali duniya aur hamesha baqi rehny wali akhrat say faaeda otha liya ehl e duniya k sath inki duniya may shareek rahy halank ehl e duniya inki akhra may shareek na ho saky
Logged
Options sonia says:     Next/Pre

6)Imam Hasan a.s sy ek shaks nay poocha Mola buzdali kiya hay ? aap a.s nay fermaya ; dosto say bahadori aur dushmano say bhaagna.

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

7)Mola Imam Hasan a.s nay fermaya : haq o batil may chaar ungal ka faasila hay jo apni ankho say dekho woh haq hay aur kaano say tau bht se ghalat baten bhe souna kerty ho.

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

8)Imam Hasan a.s nay apny ek soaleh rafeeq ka is terha tarouf keraya: meri nazro may woh sab say bara tha jis sift ki bina per woh meri nazro may azeem tha woh yeh thee k duniya ouski nzr may haqeer thi woh jahalat k qabzy say baher tha nafa k liye siwaey bharosay waly aadmi k kabhi kisi ki taraf hath nahi phelata tha woh shikwa ( shikayat ) nahi kerta tha ghussa nahi kerta tha budmizaji nahi kerta tha ziada ter khamosh rehta tha aur jab lub kushaai kerta tha tau seramad mutakalameen hota tha wo kamzor o natawaa tha lkn jab zarort hoti thi ( example jihaad) tau sher zaban tha ulma ki majlis may kehny say ziada sunny say dilchaspi rekhta tha agr koi is per guftagoo may ghalib ajaey tau ajaey mgr khamoshi may koi is per ghalib nahi a sakta tha woh jo kerta nahi tha ousko kabhi nahi kehta tha (mgr) woh kerta tha jo nahi kehta tha AGER IS K SAMNEY DO ESE AMR PEISH AAEN JIN K BAREY MAY ISKO MALOUM NA HO K MERZI E KHUDA SAY KAREEB KOUN HAY ? TAU WOH YEH DEKHTA THA K IS KI MARZI K MUTABIQ KOUN SA HAY BAS ISKO CHORE DETA THA JIN KAAMO MAY OZR KI GUNJAISH HOTI THI OUN ( K TERK) per kisi ki malamat nahi kerta tha.

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

9)Imam Hasan a.s nay fermaya: jo shaks duniya ko bht mehboob rekhta hay is k dil say akhrat ka khoaf chala jata hay .

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

10)Mola Hasan a.s nay fermaya :momine ( duniya say ) zaade raah leta hay aur kafir is say faaeda hasil kerta hay ( goya wahee rehna chahta hay)
Logged
Options sonia says:     Next/Pre

11)Mola Hasan a.s nay fermaya : logo ko halak kerny wali cheezen teen hain ek takabor dosra hirs teesra hasad.

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

12) Mola Hasan a.s nay fermaya: takabor say deen berbaad hojata hay aur isi takabor ki waja say iblees khuda ki lanat ka mustahiq howa hirs nafs ka dushman hay isi ki waja say Adam ko jannat say nikalna para hasad buraiyo ka rehnuma hay isi ki waja say qabeel nay janab e habeel ko qatl kiya.

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

13 )Mola Hasan a.s nay fermaya: woh bey adab hay jis k pass aqal na ho woh bey murawwat hay jis k pass himmat na ho woh bey hayya hay jis k pass deen na ho

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

14)Mola Hasan a.s nay fermaya : mujhy ous shaks per tajob hay jo apny ghizaai ashiya may tau ghor o fkr kerta hay ( k achi aur sehat bakhsh ghiza khaaey) lkn maqool cheezo may kyu ghor o fiker nahi kerta k nuqsaan deh ghizaao say tau apny peit ko mehfooz rekhta hay mgr is ka seena past cheezo ka merkaz hay.

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

15)Syed us shohda Mola Hussain a.s nay fermaya: khuda wunde alaam nay amr bil maroof o nehi az munkir ko apny ek wajib ki hesiyut say pehly ziker kiya kyu k woh jaanta hay k agr yeh dono fareeze ( amr bil maroof az nehi munkar) ada kiye gaey aur qaim ho gaey tau sare faraaiz khuwa sakht hoon ya narm qaim ho jain gay kyu k yeh dono insaano ko islam ki taraf dawat deny waly hain aur sahiban e hoqooq inki taraf peltaany waly hain aur zalimo ko mukhalfat per amaada kerny waly hain.


Logged
Options sonia says:     Next/Pre

16)Mola Hussain a.s nay fermaya: logo 1 Rasul e khuda saww ka irshaad hay : jo dekhey kisi zalim baadshah ko k is nay haram e khuda ko halaal ker diya hay peimaan e ilahee ko tor diya hay sunnat e Rasul saww ki mukhalfat kerta hay bundgaan e khuda k dermiyaan zulm o gunah kerta hay aur phr b na amal say na qol say iski mukhalfat  kerta hay tau khuda per wajib hay k is zalim badshah ki jagha ousko daal dey.

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

17)Mola Hussain a.s ka irshaad hay : log duniya k ghulam hain aur deen in ki zabaano k liye ek chatni hay jab tak( deen k naam per) mooaash ka daaromadaar hay deen ka naam lety hein lkn jab musibatoo may mubtila ho jaty hain tau deendaaro ki tadaad bht kam ho jati hay.
Logged
Options sonia says:     Next/Pre

18)Mola Hussain a.s nay fermaya: jo shaks khuda ki nafermani ker k apna maqsad hasil kerna chahta hay is k husool e maqsad ka raasta bund ho jata hay aur bht jald khtraat may ghir sakta hay.
Logged
Options sonia says:     Next/Pre

19) Mola Hussain a.s nay fermaya : kiya tum nahi dekh rahay ho k haq per amal nahi ho raha hay aur batil say dori nahi khtiyaar ki ja rahe hay esi soorat may momine ko haq hay k baqa e ilahi ki raghbat kary.


Logged
Options sonia says:     Next/Pre

20) Mola Hussain a.s nay fermaya: mein mout ko sa'adat aur zalimo k sath zindagi ko aziyut samjhta hoon

Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 6 7 8 9 10 11   Go Up
    Options  
Jump to:  
Powered by MySQL Powered by PHP Powered by SMF 1.1.9 | SMF © 2006-2007, Simple Machines LLC

Valid XHTML 1.0! Valid CSS! Dilber MC Theme by HarzeM