|
21)Mola Hussain a.s nay fermaya: tamam logo say ziada tau tumhari museebat hay is liye k ulma k maqamaat ko tum say cheen liya gaya hay aur tum maghloob bana diye gaey ho kash tum yeh samjh sakty k tumharay sath esa kiya gaya hay is liye k ( islami nazariye k mutabiq) tamam omoor ki anjaam dehee , bundobast aur ehkaam ka ijra in ulma k hatho may hona chahiye jo khuda shanas hoon halaal o haram khuda k ameen ho mgr ( bani umaaiyya nay) tum say yeh muqaam o manzilat cheen li aur yeh sirf is liye cheeni k wazeh daleel o burhaan k baad bhe tum haq say kinara kash rahay aur sunnat may ikhtilaf kerty rahay agr tum aziyato per saber ker lety aur raah e khuda may maal kherch ker dety tau kaar haaey khuda ( yani musalmano k omoor ka intizaam)tumharay hatho may hota tum ehkaam sadir kerty aur maamlaat tumhari taraf peltaaey jatay lkn tum nay tau apni jagha zalimo ko musallat ker diya aur omoor e khuda ko in k superd ker diya woh shubhaat per amal kerty hain khuwahishaat e nafsani per amal kerty hain khuwahishat e nafsani k rasty py chalty hain inko in cheezo per " tumharay mout say farar o fana hony wali zindge say pyaar nay " musallat kia hay.
|