My Community
News:
 
*
Welcome, Guest. Please login or register. September 10, 2010, 12:57:27 AM


Login with username, password and session length


Pages: 1 2 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11   Go Down
    Options  
Author Topic: Guftaar e dilnashee  (Read 4465 times)
Options sonia says:     Next/Pre

Logoan nay Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s) ki chaadar ko boseeda daikh ker guzaarish ker di toe Ap (a.s) nay fermaya k:
 
"Is say dil main khushoo aur nafs main ehsaas e kamtari paida hota hai aur momineen is ki iqtedaa bhi ker saktay hain. Yaad rakho! duniya aur aakhirat aapas main do naa saazgaar dushman hain aur do mukhtalif raastay. Lehaza jo duniya say muhabbat aur taaluq khaatir rakhta hai wo aakhirat ka dushman ho jata hai aur jo raah ro aik say qareeb ter hota hai wo doosray say door ter hojata hai. Phir yeh dono apas main soat k jesi hain."
 
Ref: Nahjul Balagha (Saying # 103)

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

"Logoan per aik zamana aanay wala hai jub sirf logoan k ayoob (ayb = buraiiyaan) bayan kernay wala muqarrib e baargah (pasandeeda) hua keray ga aur sirf faajir ko khush mizaaj samjha jaaeyga aur sirf munsif ko kamzor qaraar diya jaeyga. Loag sadqay ko khasaara, sila e rehem ko ehsaan aur ibadat ko logoan per bartari ka zariya qaraar dain gay. Aisay waqt main hukoomat aurtoan k mashwaray, bachoan k iqtedaar aur khwaaja saraa'oun (Heejray) ki tadbeer k saharay reh jaegi."
 
Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!
 

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

"Hajat rawaii (madad kerna) teen cheezoan k baghair mukammal nahi hoti hai.
 
1. Amal ko chhota samjhay takay woh bara qarar paey.
 
2. Usay (amal ko) posheeda toar per anjaam day taakay woh khud apna izhaar keray.
 
3. Usay (amal ko) jaldi pura ker day takay khush gawaar maaloom ho."
 
* * *
 
Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s) nay aik shakhs ko kalma e Inna Lillahi Wa Inna Ilayhi Raajiyoon zuban per jaari kertay huay suna toe fermaya k:
 
"Inna lillah iqraar hai k hum kisi ki malkiyat hain aur Inna Ilayhi Raajiyoon aiteraaf hai k aik din fana ho janay walay hain."
 
Ref: Nahjul Balagha (Saying # 099)

Logged
Options Alif says:     Next/Pre

again 
Logged
Options sonia says:     Next/Pre

thx 
Logged
Options sonia says:     Next/Pre

Siffeen say wapsi per Kufa say bahar qabrustan per nazar per gaee toe Mola Ali (a.s) nay fermaya:
 
"Ay wehshatnak gharon k rehnay walo! Ay weeran makanaat k bashindo! Aur tareek qabroan main basnay walo! Ay khaak nasheeno! Ay Ghurbat, wahdat aur wehshat walo! Tum hum say agay chalay gaey ho aur hum tumharay naqsh e qadam per chal ker tum say mul'hiq honay walay hain. Daikho tumharay makanaat abad ho chukay hain. Tumhari biviyoan ka doosra aqd ho chuka hai aur tumharay am'waal taqseem ho chukay hain. Ye toe hamaray yahan ki khabar hai. Ab tum batao k tumharay yahan ki khabar kia hai?"
 
Uskay baad as'haab ki taraf rukh ker k fermaya k, "Ager inhain bolnay ki ijazat mil jati toe tumhain sirf yeh paigham daitay k behtreen zaad e raah Taqwa e Elahi hai."
 
Ref: Nahjul Balagha

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

"Parwardigaar ki taraf say aik malak mo'ayyan hai jo her roaz awaz daita hai k Ayyuhan Naas! Paida kero toe mernay k liay, jama kero toe fana honay k liay aur taameer kero toe kharab honay k liay. (Yani akhri anjam ko nigah main rakho.)"

Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

"Duniya aik guzar gaah hai, manzil nahi hai. Is main loag do tarah k hain. Aik woh shakhs jis nay apnay nafs ko baich daala aur halaak kerdiya, aur aik woh hai jis nay khareed liya aur azaad ker diya."

Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

"Dost us waqt tak dost nahi ho sakta jub tak apnay dost k teen mawaaqay per kaam na aaey: Museebat k moqay per, Us ki ghaybat main aur mernay k baad."

Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

"Jisay chaar (4) cheezain day di gaeen woh chaar (4) say mahroom nahi reh sakta: Jisay dua ki taufeeq mil gaee wo qabooliyat say mahroom na hoga, Jisay tauba ki taufeeq mil gaee woh qabooliyat say mahroom na hoga. As'taghfar hasil kernay wala maghfirat say mahroom na hoga aur shukr kernay wala izafay say mahroom na hoga."

Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

"Namaz her muttaqi k liay waseelah e taqarrub hai aur haj her kamzor k liay jihad hai. Her shay ki zakat hoti hai aur badan ki zakat roza hai. Aurat ka jihad shohar k saath behtreen bartao hai."

Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

"Rozi k nazool ka intezam sadqay k zariyay kero."

Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

"Jisay muawza ka yaqeen hota hai woh ataa main dariya dili say kaam laita hai."

Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options sonia says:     Next/Pre


"Jo mayaana ravi say kaam lay ga woh mohtaj na hoga."
 
Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options Jimmy says:     Next/Pre

 
Logged

Options sonia says:     Next/Pre

"Aik qisam un logoan ki hai jo lazzatoan k dil daadah aur khwahishaat k liay apni lagaam dheeli ker dainay walay hain. Ya sirf maal jama kernay aur zakheera andozi kernay k dil daadah hain. Yeh dono bhi deen k qat'an muhafiz nahi hain aur in say qareeb tareen shabahat rakhnay walay charnay walay janwar hotay hain aur is tarah ilm, haamilaan e ilm k saath mer jata hai."
 
Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options sonia says:     Next/Pre


"Mere seenay main ilm ka aik khazana hai. Kaash mujhay is k uthanay walay mil jatay. Haan milay bhi toe ba'az aisay zaheen jo qabil e aitebaar nahi hain aur deen ko dunia ka aala e kaar bana ker istemaal kernay walay hain aur Allah ki naymatoan k zariay is k bandoan aur is ki muhabbattoan k zariay is k auliya per bartari jatlanay walay hain ya haamilaan e haq k ita'at guzar toe hain lekin in k pehlu'on main baseerat nahi hai aur adna shubah main bhi shak ka shikar ho jatay hain. Yaad rakho k na yeh kaam aanay wala hai na woh."
 
Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

"Maal ka zakheera kernay walay jeetay ji halaak ho gaey aur saahibaan e ilm zamanay ki baqa k saath rehnay walay hain. In k aj'saam nazroan say ojhal ho gaey hain lekin in ki soortain diloan per naqsh hain."
 
Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Options sonia says:     Next/Pre

"Ilm maal say behtar hota hai k ilm khud tumhari hifazat kerta hai aur maal ki tumhain hifazat kerna perti hai. Maal kharch kernay say kam ho jata hai aur ilm kharch kernay say berh jata hai. Phir maal k nata'ij o asaraat bhi is k fana honay k saath he fana ho jatay hain."
 
Mola Ali (a.s) Ibn e Abu Talib (a.s)!

Logged
Pages: 1 2 3 4 5 6 [7] 8 9 10 11   Go Up
    Options  
Jump to:  
Powered by MySQL Powered by PHP Powered by SMF 1.1.9 | SMF © 2006-2007, Simple Machines LLC

Valid XHTML 1.0! Valid CSS! Dilber MC Theme by HarzeM